kusum besra.haryadih.ek bakri aur siyar tha ek din siyar bakri ko kha gaya aur khane ke bad bakri ka chamra me puwal bhar karke kisan ka ghar ke pas khada kar diya.
doli besra nawadih.lopong sag ko tor kar saf se dho kar sil pthal me piskar atta ke sath san ke milate hai aur sakhwa ka ptta me roti bana kar jondish thik hota hai
kishor tudu lewda.jamin me ugate hai aur chamri me jharte hai aur chamra me hi rakhte hai ,ans=(khayni)
sanjay murmu siktiya.murgi patla ya safed pekhana karti hai to usko peyaj aur lahsun ko piskar uska rash pilane se patla pekhana band ho jata hai.
aariyan tudu kayra bani dumka. hum sag khane ke bare me bhut sune the lekin teresha didi batayi thi sag khane ke bare me ,lekin galat tha aap esi tarah jankari dete rahiye ,bhut dhaniyawad.
ariyan tudu kayra bani dumka.ghar se bahar na nikle ,covid 19 ,2020 se jada 2021me hai agar ghar se bahar niklte hai to do gaj ki duri banaye aur mashk lagana na bhule.
doli besra,lewda.kori tel ke bare me batayi ki kori tel ko hath aur per par lagane se bahut mulayam rahta hai aur humko nahi pta tha ki machhar kate aur koi kira kate huwe jagah me lagane se aaram milta hai.
bisun kisku,kindwa.ek hathi aur ek siyar tha dono me bahut dosti tha ek din nadi ke kinare ketari khane gaya aur dono khane laga siyar ka pett chota tha to pet bhar khaliya aur rona suru kardiya to waha kisan aa gayagaya to siyar bhag gaya hathi ko bhut mar mila
Mera gaaw belkhari pani piyas se hum log muskil hai janwar bhi paresan hai
hemlal jee lawadih.santhali gana raja kodesh ka chinta aur sahab logo ko loha ka chinta ,aur maa bap ko bchcha ka chinta ,aur chand maha rani ko aadmi ka chinta,suraj aur chand maha rani aadmi ka chinta kabul kijye.
